Narsari Ka Dakhla Bi Sarsri Mat Janye funny poetry 5 top collection

No. 1

Narsari Ka Dakhla Bi Sarsri Mat Janye
Aap Ke Bache Ko Aflaton Hona Chahye
Dosto English Zrori Hai Hmare Waste
Fail Hone Ko Bi Ik Mazmon Hona Chahye

No. 2 

Tay Ho Gya Hai Masla Jab Intisab Ka
Ab Ye Bi Koi Kam Hai Likhna Kitab Ka
Khaya Hai Sair Ho Ke Khayali Pakao Aj
Pani Phir Is Ke Baad Pya Hai Srab Ka
Dekhi Hai Aik Film Purani Tu Yun Lga
Jese K Koi Kam Kya Hai Sawab Ka
Sugar Na Ho Kisi Bi Muslaman Ko Ae Khuda
Mushkal Sa Ik Sawal hai Ye Bi Hisab Ka
Anwar Mri Nazar Ko Ye Kis Ki Nazar Lagi
Gobi Ka Phol Muj Ko Lage Ha Gulab Ka

No. 3

 Mehboba Se Milne Ka Bra Shoq Tha
Aik Din Likh Dia Khat Us Ko
Bholi Bhali Smaj Na Saki Mere Pyar Ko
De Diya Khat Apne Bhai Mukhtar Ko
Main Ne Darya K Bahut Bari Moj Dekhi
Jab Apne Piche Mukhtyar Ki Foj Dekhi
Logo Ne Kha K Kis Pe Azab Aya Hai
Dil Ne Kha Nas Putar Tere Khat Da Jwab Aya Hai

No. 4

 Janab Dum Ki Ajab Nafsiat Hoti Hai
Ke Is Ki Jumbash-e Adna Mai Baat Hoti Hai
Wafa Ke Jazbay Ka Izhar Dum Hilana Hai
Jo Dum Khari Hai Wo Nafrat Ka Taziana Hai
Jo Lambi Dum Hai Wo Aali Sifat Hoti Hai
Jo Mukhtasir Hai Bari Wahiat Hoti Hai
Wo Jandar Mukamal Nahi Adhora Hai
Wo Jis Ke Dum Nahi Hoti Hai Wo Landora Hai
Jahan Mai Yun Tu Hai Ooncha Muqam Insan Ka
Magar Landoron Mai Aata Hai Naam Insan Ka
Mai Sochta Hun Jo Insan Ke Dum Lagi Hoti
Kasar Jo Baqi Hai Wo Be Na Reh Gayi Hoti
Wo Apni Jaan Bachane Ko Ye Sapar Leta
Jo Hath Se Nahi Kar Pata Dum Se Kar Leta
Kuch Is Tareqay Se Rad-e Amal Hoa Karta
Guzarti Dil Pe Dum Pe Asar Mila Karta
Khushi Ka Jazba Ubarhta Tu Dum Uchak Jati
Koi Udas Jo Hota Tu Duk Latak Jati
Kisi Pe Dhons Jamata Tu Dum Utha Leta
Kisi Se Dhons Jo Khata Tu Dum Daba Leta
Buzarg Log Jawanon Se Jab Khafa Hote
Zuban Pe Un Ke Ye Alfaz Barmla Hote
Tumhain Khabar Nahi Thi Kesi Aan Baan Ki Dum
Kata Ke Bech Li Tum Ne Tu Khandan Ki Dum
Khain Jo Fateh-e Aazam Koi Khra Hota
Mere Khayal Me Yun Poz De Raha Hota
Bare Gharoor Se Lehra Raha Hai Dum Apni
Bajaye Monchon Ke Sehlaa Raha Hai Dum Apni
Saba Mai Jab Koi Dastoor-e No Bna Karta
Shmar Raye Kuch Is Tarah Se Hoa Karta
Jo Log Is Ke Mwafaq Hai Dum Utha Lain Wo
Jo Log Is Ke Mukhalif Hai Dum Gira Dain Wo
Ameer Logo Ki Dum Main Anghotian Hoti
Anghotion Mai Nageenon Ki Botiyan Hoti
Ghumand Aur Bi Bhar Jata Aur Itrate
Ye Log Jab Ghari Apni Dum Mai Latkate
Haseen Log Kisi Tarah Se Nibah Lete
Na Milta Kuch Tu Faqat Dum Ko Hi Ranga Lete
Jo Muflasi Se Apni Koi Ghlata
Tu Hasaptal Mai Le Ja Ke Dum Kata Aata
Haseen Logo Ki Pholon Se Dum Dhaki Hoti
Ke Phuljari Se Fazaon Mai Chat Rahi Hoti
Dumon Se Phir Qad-e Zeba Kuch Aur Saj Jate
Kahan Ki Zulf Ke Dum Hi Mai Dul Ulaj Jate
Ye Iftikhar Jo Ham Aashiqon Ko Mil Jata
Har Ik Ghuncha Umeed Dil Ko Khul Jata
Kisi Ko Bazam Mai Ham Apna Yun Pta Dete
Bjaye Paon Dbane Ke Dum Daba Dete
Kabi Kamand Ka Jo Kaam Dum Se Ho Jata
Ham Aashiqon Ka Bara Naam Dum Se Ho Jata
Ishara Kar Ke Hmain Dum Wo Apni Latkaate
Ham Un Ke Khothe Pe Dum Ko Pakar Kar Char Jate
Hamari Rah Ka Har Kanta Phol Ho Jaye
Agar Dua Ye Hamari Qabol Ho Jaye
Ke Aadmi Ke Liye Dum Bohat Zrori Hai
Bghair Dum Ke Har Ik Aarzo Landori Hai

No. 5

Pind Ke Bohar Thale Ham Ishq Laraya karte Thay
Wo Panday Dhone Aati Thi Ham Maj Nhwya Karte Thay
Wo Har Kam Main Agay Thi Ham Har Kaam Main Phari Thay
Wo Sabaq Mqa Ke Bai Jati Ham Pencil Garhia Karte Thay
Jdon Meri Bay Bay Us Ke Ghar Rishta Lain Gyi
Wo College Jaya Karti Thi Ham Daras Main Parhya Karte Thay
Garmiyon Main Sukar Dhupare jadon Ham Amb Par Charia Karte Thay
Munh Suj Prola Hota Tha Jab Demon Larya Karte Thay
Pind Ke Sar Kande Tlay Jab Wo Muj Se Milne Aati Thi
Sheda, Gama, Fazlo, Teefa Muft Main Sarya Karte Thay
Share is Caring 💞:

Leave a Comment